Aaj Tak Bahka Nahin Bahar Se Diwana Tera

aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera

hausle meri nigahon ke hain paimana tera

raat bhar shabnam ki aankhon se sahar ki mang mein

main jise likhta raha wo bhi tha afsana tera

ye tere dariya salamat ye tere baadal ba-KHair

luT rahe hain KHum pe KHum sabit hai mai-KHana tera

aansuon ki aab-e-ju hail hai warna laun main

meri nazron ka sharar aankhon ka KHas-KHana tera

dil mein dhaDkan ki tarah sanson mein KHushbu ki tarah

ab KHayalon mein bhi kab aata hai wo aana tera

awwal awwal to tamazat dopahar ke dasht ki

aaKHir aaKHir apni nazron ko jhuka jaana tera

reza reza kar gai patthar ko bhi shabnam ki choT

hae kis dil se magar wo mujh ko samjhana tera

(386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Tak Bahka Nahin Bahar Se Diwana Tera In English By Famous Poet Lutf-ur-rahman. Aaj Tak Bahka Nahin Bahar Se Diwana Tera is written by Lutf-ur-rahman. Read famous Poem Aaj Tak Bahka Nahin Bahar Se Diwana Tera for youth and Student by Lutf-ur-rahman. Free Download Aaj Tak Bahka Nahin Bahar Se Diwana Tera in PDF.