Aai To Kahin Koi Qayamat Nahin Ab Ke
aai to kahin koi qayamat nahin ab ke
is shahar mein ek sar bhi salamat nahin ab ke
yun KHema-e-gul KHak hua fasl-e-junun mein
phulon pe koi rang-e-malahat nahin ab ke
kya jaaniye kis dasht ka paiwand hua hai
ek shaKHs sar-e-ku-e-malamat nahin ab ke
ab TuT ke sahra mein bikharne ki hawas hai
ek gosha-e-daman pe qanaat nahin ab ke
han ab na rahi dar-o-rasan se koi nisbat
han pesh-e-nazar wo qad-o-qamat nahin ab ke
wo zaKHm mile dil ko sar-e-manzil-e-qurbat
ek dushman-e-jaan se bhi shikayat nahin ab ke
KHud us ne kiya faisla-e-tark-e-talluq
KHud mujh se mere dil ko nadamat nahin ab ke
(433) Peoples Rate This