Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ad6492db264c0e4fd74c9179482150e1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phir Wahi Be-dili Phir Wahi Mazarat - Liyaqat Ali Aasim Poetry In English - Darsaal

Phir Wahi Be-dili Phir Wahi Mazarat

phir wahi be-dili phir wahi mazarat

bas bahut ho chuka zindagi mazarat

KHud-kalami se bhi ruTh jati hai tu

ab na bolunga ai KHamushi mazarat

dhup Dhal bhi chuki sae uTh bhi chuke

ab mere yar kis baat ki mazarat

dad be-dad mein dil nahin lag raha

dosto shukriya shaeri mazarat

be-KHudi mein KHudai ka dawa kiya

ai KHuda dar-guzar ai KHudi mazarat

tujh se guzri hui zindagi mang li

rabb-e-imroz-o-farda-o-di mazarat

ek nazar us ne dekha hai 'asim' chalo

dur hi se sahi ho chuki mazarat

(458) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wahi Be-dili Phir Wahi Mazarat In English By Famous Poet Liyaqat Ali Aasim. Phir Wahi Be-dili Phir Wahi Mazarat is written by Liyaqat Ali Aasim. Read famous Poem Phir Wahi Be-dili Phir Wahi Mazarat for youth and Student by Liyaqat Ali Aasim. Free Download Phir Wahi Be-dili Phir Wahi Mazarat in PDF.