Mile To Kash Mera Hath Tham Kar Le Jae
mile to kash mera hath tham kar le jae
wo apne ghar na sahi mujh ko mere ghar le jae
butan-e-shahr tumhaare larazte hathon mein
koi to sang ho aisa ki mera sar le jae
diya karunga yunhi tere nam ki dastak
mera nasib mujhe lakh dar-ba-dar le jae
wo aadmi ho ki KHushbu bahut hi ruswa hai
hawa-e-shahr jise apne dosh par le jae
mere qarib se guzre to ahl-e-dil bole
uTha ke kaun parinda lahu mein tar le jae
palaT ke aae to shayad na kuchh dikhai de
wo ja raha hai to 'asim' meri nazar le jae
(485) Peoples Rate This