Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bdabe1a0c5a3edf236a583558e9b8148, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHwab Tabir Mein Dhalte Hain Yahan Se Aage - Liyaqat Ali Aasim Poetry In English - Darsaal

KHwab Tabir Mein Dhalte Hain Yahan Se Aage

KHwab tabir mein Dhalte hain yahan se aage

aa nikal jaen shab-e-wahm-o-guman se aage

rang pairahan-e-KHaki ka badalne ke liye

mujh ko jaana hai abhi reg-e-rawan se aage

ek qadam aur sahi shahr-e-tanaffus se udhar

ek safar aur sahi kucha-e-jaan se aage

is safar se koi lauTa nahin kis se puchhen

kaisi manzil hai jahan-e-guzaran se aage

main bahut tez hawaon ki guzargah mein hun

ek basti hai kahin mere makan se aage

meri aawargi yun hi to nahin hai 'asim'

koi KHushbu hai meri umr-e-rawan se aage

(471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Tabir Mein Dhalte Hain Yahan Se Aage In English By Famous Poet Liyaqat Ali Aasim. KHwab Tabir Mein Dhalte Hain Yahan Se Aage is written by Liyaqat Ali Aasim. Read famous Poem KHwab Tabir Mein Dhalte Hain Yahan Se Aage for youth and Student by Liyaqat Ali Aasim. Free Download KHwab Tabir Mein Dhalte Hain Yahan Se Aage in PDF.