Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6f4b230175424b5a6f342f2989bb4372, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kai Aks Mah-e-tamam The Mujhe Kha Gae - Liyaqat Ali Aasim Poetry In English - Darsaal

Kai Aks Mah-e-tamam The Mujhe Kha Gae

kai aks mah-e-tamam the mujhe kha gae

wo jo KHwab se lab-e-baam the mujhe kha gae

koi rakh thi jo sulag rahi thi idhar udhar

wo jo rang-e-saya-e-sham the mujhe kha gae

wo jo aansuon ki zaban thi mujhe pi gai

wo jo bebasi ke kalam the mujhe kha gae

wo jo manzilon ki duaen thin nahin le gain

wo jo raste ke salam the mujhe kha gae

wo jo bikhre bikhre se log the mere rog the

wo jo muttasil dar-o-baam the mujhe kha gae

kabhi ye ghalat kabhi wo ghalat kabhi sab ghalat

ye KHayal-e-puKHta jo KHam the mujhe kha gae

(413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kai Aks Mah-e-tamam The Mujhe Kha Gae In English By Famous Poet Liyaqat Ali Aasim. Kai Aks Mah-e-tamam The Mujhe Kha Gae is written by Liyaqat Ali Aasim. Read famous Poem Kai Aks Mah-e-tamam The Mujhe Kha Gae for youth and Student by Liyaqat Ali Aasim. Free Download Kai Aks Mah-e-tamam The Mujhe Kha Gae in PDF.