Usi Ke Dam Pe To Ye Dosti Bachi Hui Thi
usi ke dam pe to ye dosti bachi hui thi
hamare bich mein jo ham-sari bachi hui thi
hamare bich mein ek puKHtagi bachi hui thi
bachi hui thi magar aarzi bachi hui thi
usi ke nur se ye raushni bachi hui thi
mere nasib mein jo tirgi bachi hui thi
usi ke dam pe manaya tha us ne jashn mera
ki dushmani mein bhi jo dosti bachi hui thi
kamal ye tha ki hum bahs haar baiThe the
hamare lahje ki shaistagi bachi hui thi
agarche KHatm the rishte paDosiyon wale
hamare bich mein hamsaegi bachi hi thi
badal chuka tha wo apna mizaj mere liye
magar dikhawe ko ek be-ruKHi bachi hui thi
usi ke nur se pur-nur tha ye sara jahan
hamari aankh mein jo raushni bachi hui thi
ab is maqam pe pahuncha diya tha hum ne ishq
junun KHatm tha diwangi bachi hui thi
usi ne joD ke rakkha hua tha rishte ko
hamare bich mein jo barhami bachi hui thi
is ek baat ki sharmindagi ne mar diya
mere wajud teri tishnagi bachi hui thi
ubur kar liya sahra to phir se lauT aae
junun baqi tha aashuftagi bachi hui thi
main gahe-gahe use yaad kar hi leta tha
isi bahane meri zindagi bachi hui thi
usi ke dam pe paDhe bhi gae sune bhi gae
hamare lahje mein jo chashni bachi hui thi
zamane teri hunar-kosh razm ke hathon
main luT chuka tha magar shaeri bachi hui thi
wo kaun raaz tha jis ko bayan kar na sake
wo kaun baat thi jo 'jafari' bachi hui thi
(543) Peoples Rate This