Tumhein Ab Is Se Ziyaada Saza Nahin Dunga
tumhein ab is se ziyaada saza nahin dunga
duaen dunga magar bad-dua nahin dunga
teri taraf se laDunga main teri har ek jang
rahunga sath magar hausla nahin dunga
teri zaban pe mauquf mere hath ka lams
niwala dunga magar zaiqa nahin dunga
main pahle bose se na-ashna rakhunga tumhein
phir is ke baad tumhein dusra nahin dunga
phir ek bar guzar jao mere upar se
main is ke baad tumhein rasta nahin dunga
ki tu talash kare aur main tujh ko mil jaun
main teri aankh ko itni saza nahin dunga
bhagae rakkhunga apni adalaton mein tumhein
tamam umr tumhein faisla nahin dunga
main us ke sath hun jo uTh ke phir khaDa ho jae
main tere shahar ko ab zalzala nahin dunga
teri ana ke liye sirf ye saza hai bahut
tu ja raha hai to tujh ko sada nahin dunga
ki ab ki bar 'liyaqat' hua hua so hua
main us ke hath mein ab aaina nahin dunga
(449) Peoples Rate This