Koi Samjhao Dariya Ki Rawani KaTti Hai

koi samjhao dariya ki rawani kaTti hai

ki mere sans ko tishna-dahani kaTti hai

main bahar to bahut achchha hun par andar hi andar

mujhe koi bala-e-na-gahani kaTti hai

main dariya hun magar kitna sataya ja raha hun

ki basti roz aa ke mera pani kaTti hai

zamin par hun magar kaT kaT ke girta ja raha hun

musalsal ek nigah-e-asmani kaTti hai

main kuchh din se achanak phir akela paD gaya hun

nae mausam mein ek wahshat purani kaTti hai

ki raja mar chuka hai aur shahzade jawan hain

ye rani kis tarah apni jawani kaTti hai

nazar walo tumhaari aankh se shikwa hai mujh ko

zaban walo tumhaari be-zabani kaTti hai

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Samjhao Dariya Ki Rawani KaTti Hai In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Koi Samjhao Dariya Ki Rawani KaTti Hai is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Koi Samjhao Dariya Ki Rawani KaTti Hai for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Koi Samjhao Dariya Ki Rawani KaTti Hai in PDF.