Haalanki Pahle Din Se Kaha Ja Raha Hun Main

haalanki pahle din se kaha ja raha hun main

lekin kahan kisi ko suna ja raha hun main

lachaar o bad-hawas ghane jangalon ke bich

dariya ke sath sath chala ja raha hun main

pachhta rahe hain sab mera pinjar nikal kar

diwar mein dobara chuna ja raha hun main

haalanki pahle sae se rahti thi kashmakash

ab apne bojh se hi daba ja raha hun main

tere sambhaalne se bhi pakDi na main ne aag

ab aur bhi ziyaada bujha ja raha hun main

pahle-pahal to KHud se hi mansub the ye ashk

ab us ki aankh se bhi baha ja raha hun main

ye din bhi kaisa saKHt shikanja hai 'jafari'

ab jis pe sari raat kasa ja raha hun main

(1024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haalanki Pahle Din Se Kaha Ja Raha Hun Main In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Haalanki Pahle Din Se Kaha Ja Raha Hun Main is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Haalanki Pahle Din Se Kaha Ja Raha Hun Main for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Haalanki Pahle Din Se Kaha Ja Raha Hun Main in PDF.