Rah-e-hayat Mein Wo Bhi Maqam Aaega
rah-e-hayat mein wo bhi maqam aaega
yagana kaam na begana kaam aaega
surur-e-baada-e-ranj-o-gham-e-hayat kabhi
na kaam aaya kisi ke na kaam aaega
hamari zindagi-e-muKHtasar ka sarmaya
hamare baad zamane ke kaam aaega
badal chuki hai faza ab nizam-e-alam ki
na kaam dana kisi ke na dam aaega
yaqin hai tishna-labon ko ki un ki mahfil mein
wo jab bhi aaega baada-ba-jam aaega
wo jis ki yaad satati hai raat-din 'farigh'
na qabl-e-subh na wo baad-e-sham aaega
(395) Peoples Rate This