Naqab-e-bazm-e-tasawwur UThai Jati Hai
naqab-e-bazm-e-tasawwur uThai jati hai
shikast-KHurdon ki himmat baDhai jati hai
bhaTakne lagta hai rah-e-wafa se jab aalam
hadis-e-ishq hamari sunai jati hai
mata-e-hosh-o-KHirad be-baha sahi lekin
dar-e-habib pe ye bhi luTai jati hai
nazar se hoti hai lutf-o-karam ki barish bhi
nazar se barq-e-tapan bhi girai jati hai
wufur-e-shauq ki dekho to maslahat-koshi
junun ki baat KHirad se chhupai jati hai
kis e'timad se aaghaz-e-daur-e-ulfat mein
KHayal-o-KHwab ki duniya basai jati hai
faza-e-ruh pe tarikiyan musallat hain
haram mein sham-e-aqidat jalai jati hai
dikha dikha ke maal-e-junun ki fitnagari
bashar ko rasm-e-murawwat sikhai jati hai
mata-e-ishq-o-mohabbat nigah-e-alam se
kis ehtiyat se 'farigh' chhupai jati hai
(327) Peoples Rate This