Meri Judai Mein Aansu Bahae Jate Hain
meri judai mein aansu bahae jate hain
ye fitna meri lahad par jagae jate hain
ziya-e-husn ko dargah-e-dil tarasti hai
charagh dair-o-haram mein jalae jate hain
nahin satate kisi ko bhi jo zamane mein
wahi zamane mein akasr satae jate hain
ziya-e-husn se hota hai jin ka dil mamur
charagh gor par un ki jalae jate hain
fasanon se nahin bantin haqiqaten lekin
haqiqaton se fasane banae jate hain
kahin ghurur takabbur kahin futur-e-KHudi
hamari rah mein rahzan biThae jate hain
adab ki mahfil-e-rangin mein raat-din 'farigh'
mere fasane hi akasr sunae jate hain
(412) Peoples Rate This