Jahan-e-rang-o-bu Par Chha Raha Hai
jahan-e-rang-o-bu par chha raha hai
har ek parde se wo jalwa-numa hai
bashar Thokar pe Thokar kha raha hai
saza apne kiye ki pa raha hai
tamanna aur phir un ki tamanna
ye irfan-e-KHudi ki intiha hai
buton ko dekh kar aata hai tu yaad
buton ke husn mein jalwa tera hai
kahin tu hai kahin taswir teri
na kaba hai na koi but-kada hai
tumhaari yaad kar leta hun taza
buton ko kaun kafir pujta hai
nahin chaara kisi ke pas is ka
mohabbat ek dard-e-la-dawa hai
sharab-e-zist pita ja raha hun
surur-e-hosh baDhta ja raha hai
jigar mein chubh rahi hai nok-e-mizhgan
bala ka dard 'farigh' ho raha hai
(374) Peoples Rate This