Jahan Walon Se Barti Is Qadar Be-gangi Maine
jahan walon se barti is qadar be-gangi main ne
ki barham kar liya apna nizam-e-zindagi main ne
sikhae husn-e-kafir ko saliqe KHud-numai ke
sanwara pai-ba-pai apna mazaq-e-ashiqi main ne
hue raushan na phir bhi baam-o-dar fikr-o-tasawwur ke
hazaron bar ki bazm-e-jahan mein raushni main ne
dil-e-na-aqibat-andesh ki kotah-bini ki
kabhi taid ki main ne kabhi tardid ki main ne
hazaron bar tahzib-o-tamaddun ki faza badli
hazaron bar ek duniya nai aabaad ki main ne
kya ifsha na raaz-e-gham kisi par jite-ji 'farigh'
baDe sabr-o-tahammul se basar ki zindagi main ne
(395) Peoples Rate This