Etibar-e-arzu Ka Karr-o-far Jata Raha
e'tibar-e-arzu ka karr-o-far jata raha
dil se irfan-e-mohabbat ka asar jata raha
shama soz-e-gham ka qissa raat bhar kahti rahi
de ke parwana payam-e-muKHtasar jata raha
ahd-e-rafta ko na dekha lauT kar aate hue
e'tibar-e-gardish-e-sham-o-sahar jata raha
ho sakega phir na saiqal jauhar-e-kirdar-e-zist
gar jahan se e'tibar-e-KHair-o-shar jata raha
e'tibar-e-arzu-e-muKHtasar baqi sahi
e'tibar-e-jazba-e-fikr-o-nazar jata raha
mushkilat-e-ishq ka uqda na phir bhi wa hua
nama-bar aata raha aur nama-bar jata raha
fikr-e-besh-o-kam ke 'farigh' marhale tai ho gae
dil se ehsas-e-gham naf-o-zarar jata raha
(384) Peoples Rate This