Bisat-e-rang-o-bu Aatish-fishan Malum Hoti Hai
bisat-e-rang-o-bu aatish-fishan malum hoti hai
rag-e-gul mein nihan barq-e-tapan malum hoti hai
tamanna hi se qaem hai waqar-e-naujawani bhi
tamanna garche jins-e-raegan malum hoti hai
kinara hai koi is ka na is ka koi sahil hai
mohabbat ek bahr-e-be-karan malum hoti hai
guzishta wardaton par main jab bhi ghaur karta hun
mujhe har wardat ek dastan malum hoti hai
wafa-koshi ka jazba sard paD jata hai piri mein
wafa parwarda-e-fikr-e-jawan malum hoti hai
asar baqi abhi tak hai nigahon mein jawani ka
mujhe har ek shai ab bhi jawan malum hoti hai
jafa-o-jaur ke qisse hain ab bhi mo'atabar 'farigh'
wafa ki baat zeb-e-dastan malum hoti hai
(412) Peoples Rate This