Ruh-e-taghazzul
main apne qalb mein jab nur-e-irfan dekh leta hun
to har zarra mein ek KHurshid-e-taban dekh leta hun
miTa kar apni hasti rah-e-haq mein khul gain aankhen
ki mar kar zindagi ka raaz-e-pinhan dekh leta hun
haqiqi ishq ka jazba hai dil mein jis ki barakat se
hayat aur maut ke asrar-e-uryan dekh leta hun
kiye hain ishq aur ulfat ke sare marhale jab tai
to duniya bhar ki har mushkil ko aasan dekh leta hun
chhupa sakta nahin tu KHud ko mujh se lakh pardon mein
teri surat har ek shai mein numayan dekh leta hun
kahani kya sunaun dil-jalon ki gham ke maron ki
ki uThta chaar-su ek gham ka tufan dekh leta hun
taDap hai dard hai ranj-o-alam hai be-qarari hai
ye mulk aur qaum ka haal-e-pareshan dekh leta hun
isi pyare watan hindostan ki ghair haalat hai
ki jis par ghair ko bhi aaj nazan dekh leta hun
nikalti hai agar ek aah bhi mazlum ke dil se
zamin se arsh tak har shai ko larzan dekh leta hun
ghaTaen gham ki sar par chha gain jo hind walon ke
dar-o-diwar ko bhaarat ke giryan dekh leta hun
abhi hindostan ke din bhale aae nahin shayad
ki main laDte hue hindu musalman dekh leta hun
na kyun ai 'aftab' aae nazar ummid ki surat
ki jab taklif mein rahat ke saman dekh leta hun
(389) Peoples Rate This