Yaadon Ka Lams
nahin tanha nahin hun main
tumhaare sehr ke dhagon ne
mere jism-o-jaan ko bandh rakha hai
hasin yaadon ka shirin lams
meri ruh ko chhu kar
meri aankhon se bahta hai
tum apni ungliyon ki narm poron se
mere hathon ko chhute ho
bahut dhire se
tum apne dahakte lab mere galon pe rakh kar
aansuon ko ponchh dete ho
main apni band aankhon mein
hasin qaus-e-quzah aur titliyon ke rang takti hun
mohabbat ke parinde git gate hain
fazaen gungunati hain
tumhaare bazuon ne mere tan ko
tham rakkha hai
tumhaari sans ki KHushbu
meri sanson mein uljhi hai
tumhein chhuti
tumhein mahsus karti hun
main tum se pyar karti hun
jidhar dekhun tumhi tum ho
har ek pal mein tumhi tum ho
jahan tum ho wahin hun main
nahin tanha nahin hun main
(385) Peoples Rate This