Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f35ae0ac41cd9447f2c72fdf2201083e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Doston Ne Ye Gul Khilaya Tha - Laiq Akbar Sahaab Poetry In English - Darsaal

Doston Ne Ye Gul Khilaya Tha

doston ne ye gul khilaya tha

hath dushman se ja milaya tha

aastinon mein sanp pale the

dudh KHud hi unhen pilaya tha

zaKHm kari bahut laga dil par

tir apnon ne ek chalaya tha

barq mangi nahin falak tujh se

hum ne KHirman ko KHud jalaya tha

dil ko zaKHmon se chur hona tha

ishq ki rah par chalaya tha

puchhte ho dhuan hain kyun aankhen

jaan ki basti mein dil jalaya tha

main to bhula nahin 'sahab' us ko

us ne kaise mujhe bhulaya tha

(324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Doston Ne Ye Gul Khilaya Tha In English By Famous Poet Laiq Akbar Sahaab. Doston Ne Ye Gul Khilaya Tha is written by Laiq Akbar Sahaab. Read famous Poem Doston Ne Ye Gul Khilaya Tha for youth and Student by Laiq Akbar Sahaab. Free Download Doston Ne Ye Gul Khilaya Tha in PDF.