Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_055fa21851c1b7c9e9ae775150c0f724, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dekha Use, Qamar Mujhe Achchha Nahin Laga - Laiq Akbar Sahaab Poetry In English - Darsaal

Dekha Use, Qamar Mujhe Achchha Nahin Laga

dekha use, qamar mujhe achchha nahin laga

chhu kar use, guhar mujhe achchha nahin laga

chaha use to yun ki na chaha kisi ko phir

koi bhi umr bhar mujhe achchha nahin laga

aaina dil ka toD ke kahta hai sang-zan

dil tera toD kar mujhe achchha nahin laga

dil se mere ye kah ke sitamgar nikal gaya

dil hai tera khanDar mujhe achchha nahin laga

ugla safar ho mere KHuda rahaton bhara

jiwan ka ye safar mujhe achchha nahin laga

dekha jo is ke dar pe raqibon ka ek hujum

phir us ke ghar ka dar mujhe achchha nahin laga

tajdid-e-rasm-o-rah pe wo to raha musir

wo bewafa magar mujhe achchha nahin laga

is ka hi zikr bas tumhein achchha lage 'sahab'

kahte ho tum magar mujhe achchha nahin laga

(348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekha Use, Qamar Mujhe Achchha Nahin Laga In English By Famous Poet Laiq Akbar Sahaab. Dekha Use, Qamar Mujhe Achchha Nahin Laga is written by Laiq Akbar Sahaab. Read famous Poem Dekha Use, Qamar Mujhe Achchha Nahin Laga for youth and Student by Laiq Akbar Sahaab. Free Download Dekha Use, Qamar Mujhe Achchha Nahin Laga in PDF.