Zamana DhunD Raha Tha Kidhar Gaya Pani
zamana DhunD raha tha kidhar gaya pani
kisi ka hukm hua to Thahar gaya pani
wo dhup thi ki zamin jal ke rakh ho jati
baras ke ab ke baDa kaam kar gaya pani
baDa ghurur tha apni chamak-damak pe use
sunar ne jo tapaya utar gaya pani
KHuda ka KHauf nahin ab tumhaare zehnon mein
tawahhumat ka is tarah bhar gaya pani
shikast-KHurda ye qaumen tumhein miTa dengi
agar tumhaari hamiyyat ka mar gaya pani
taras na aaya gharibon ke haal par 'ajiz'
sisakte paudon ke sar se guzar gaya pani
(506) Peoples Rate This