Us Husn-e-be-niyaz Ke Kuchh Martabe The Aur
us husn-e-be-niyaz ke kuchh martabe the aur
meri udas raaton ke bujhte diye the aur
zaKHmon ko nok-e-KHar ki lazzat pasand thi
waise tumhaare ghar ke kai raste the aur
main hi nahin tha khokhle peDon ke darmiyan
mujh jaise na-shanas wahan par khaDe the aur
is se bichhaD ke rone ki fursat nahin mili
qirtas-e-zindagi pe kai gham likhe the aur
daman mein jo guhar hain natije hain ishq ke
pahle jo mere pas the wo aaine the aur
saqi bacha li aabru tu ne KHud apni aaj
warna meri manzar mein kai mai-kade the aur
jis ke ek ek misre mein rahta tha us ka zikr
'ajiz' wo sher aur the wo qafiye the aur
(458) Peoples Rate This