Tanz Ke Tir Meri Samt Chalate Kyun Ho

tanz ke tir meri samt chalate kyun ho

tum agar dost ho to dil ko dikhate kyun ho

dekh le ye bhi zamana ki ho tum kitne amir

apni palkon ke nagine ko chhupate kyun ho

ai mere panw ke chhaalo mere ham-rah raho

imtihan saKHt hai tum chhoD ke jate kyun ho

tishnagi se meri barson ki shanasai hai

bich mein nahr ki diwar uThate kyun ho

meri tarik shabon mein hai ujala in se

chand se zaKHmon pe marham ye lagate kyun ho

us se jab ahd-e-wafa kar hi liya hai 'ajiz'

be-wafa kah ke use ashk bahate kyun ho

(551) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanz Ke Tir Meri Samt Chalate Kyun Ho In English By Famous Poet Laiq Aajiz. Tanz Ke Tir Meri Samt Chalate Kyun Ho is written by Laiq Aajiz. Read famous Poem Tanz Ke Tir Meri Samt Chalate Kyun Ho for youth and Student by Laiq Aajiz. Free Download Tanz Ke Tir Meri Samt Chalate Kyun Ho in PDF.