Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6205c951eedecaab0f650a7d4cc22ad2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe To Jo Bhi Mila Hai Azab Ki Surat - Laiq Aajiz Poetry In English - Darsaal

Mujhe To Jo Bhi Mila Hai Azab Ki Surat

mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat

meri hayat hai ek tishna KHwab ki surat

hawao dil ki taraf ehtiyat se jaana

wajud amn ka hai qaem hubab ki surat

malamaten gham-o-alam fikr mayusi

ye zindagi hai shikasta kitab ki surat

KHud apni kargasi fitrat se ho gae ruswa

wagarna tum bhi uThe the uqab ki surat

kabhi falak to samundar kabhi uTha laya

pasand donon ko hai aaftab ki surat

shaguftagi ki jagah jhurriyon ne le li hai

hamara chehra tha 'ajiz' gulab ki surat

(496) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe To Jo Bhi Mila Hai Azab Ki Surat In English By Famous Poet Laiq Aajiz. Mujhe To Jo Bhi Mila Hai Azab Ki Surat is written by Laiq Aajiz. Read famous Poem Mujhe To Jo Bhi Mila Hai Azab Ki Surat for youth and Student by Laiq Aajiz. Free Download Mujhe To Jo Bhi Mila Hai Azab Ki Surat in PDF.