Jab Se Meri Taqdir Ka Duba Suraj
jab se meri taqdir ka Duba suraj
us roz se ab tak nahin dekha suraj
Dubega bahut jald ye chaDhta suraj
is waste main ne nahin puja suraj
jab se tere chehre ki chamak dekhi hai
aankhon ko meri ek nahin jachta suraj
tariki se har shaKHs ko fursat to mili
mere liye ab tak nahin nikla suraj
kirnon ko wo bazar mein bech aaya hai
shayad ki kai din se tha bhuka suraj
tum ne to kai logon ko banTe lekin
main ne to kabhi ek na paya suraj
barson se zamane ko sahar de na saka
haalat mein kuchh is tarah uljha suraj
aaya hai tasawwur mein sar-e-sham koi
mere ufuq-e-zehn pe nikla suraj
'ajiz' ko pareshan nahin kar sakta
aflak-e-masaib ka ye tapta suraj
(491) Peoples Rate This