Baadshahi Ho Ki Daryuza-gari Ka Mausam
baadshahi ho ki daryuza-gari ka mausam
bhulta hi nahin wo ham-safari ka mausam
khetiyan chhaalon ki hoti thin lahu ugte the
kitna zarKHez tha wo dar-badari ka mausam
hirz-e-jaan Thahre jo sahra mein Thikana mil jae
bastiyon mein to hai aashufta-sari ka mausam
aao zaKHmon se phir ek bar lipaT kar ro len
warna aane ko hai ab baKHiya-gari ka mausam
roz-e-awwal se hai chhaya hua mujh par ab tak
kirchiyan hone ka shaqq-ul-bashari ka mausam
ab kabhi lauT kar aaega na shayad 'ajiz'
Dub kar pine ka daman ki tari ka mausam
(465) Peoples Rate This