Nama-bar Aate Rahe Jate Rahe
nama-bar aate rahe jate rahe
hijr mein yun dil ko bahlate rahe
ye bhi kya kam hai ki mere haal par
der tak wo ghaur farmate rahe
shiddat-e-ehsas-e-tanhai na puchh
hum bhari mahfil mein ghabraate rahe
hijr ki tarikiyan baDhti gain
mahr o mah aate rahe jate rahe
koi kya jaanega ye raaz-o-niyaz
dil hamein hum dil ko samjhate rahe
manzil-e-maqsud par pahunche wahi
rah mein jo Thokaren khate rahe
nashsha-e-mai tez-tar hota gaya
shaiKH sahab waz farmate rahe
kya ajab shai hai mata-e-dil 'sahar'
jo use khote rahe pate rahe
(593) Peoples Rate This