KHizan Mein Bhi Bahaar-e-jawedan Malum Hoti Hai
KHizan mein bhi bahaar-e-jawedan malum hoti hai
jawani ho to phir har shai jawan malum hoti hai
yahan malum hoti hai wahan malum hoti hai
KHalish dil ki kahan hai aur kahan malum hoti hai
jafa un ki wafa meri wafa meri jafa un ki
mohabbat dastan-dar-dastan malum hoti hai
asiran-e-qafas hain hum se puchho qadr-e-azadi
ki ab bijli bhi shaKH-e-ashiyan malum hoti hai
ye mana ishq mein sabr o sukun se kuchh nahin hasil
magar aah-o-fughan bhi raegan malum hoti hai
payam-e-ishq dete hain wo jab nazron hi nazron mein
wo ek saat hayat-e-jawedan malum hoti hai
latafat ishq ki hai mana-e-nazzara-e-surat
mohabbat KHud hijab-e-darmiyan malum hoti hai
baDi mushkil se samjhe hain shahid-e-ishq ka mansab
'sahar' ab zindagi bar-e-giran malum hoti hai
(375) Peoples Rate This