Justuju Unki Dar-e-ghair Pe Le Aai Hai
justuju un ki dar-e-ghair pe le aai hai
ab KHuda jaane kahan tak meri ruswai hai
dil abhi mail-e-sad-baadiya-e-paimai hai
kyun abas ahl-e-chaman anjuman aarai hai
hum qafas walon ko itna to bata de koi
kya ye sach hai ki gulistan mein bahaar aai hai
tere gham se mujhe imdad mili hai aksar
jab tabiat gham-e-ayyam se ghabrai hai
KHanda-e-gul bhi wahi girya-e-shabnam bhi wahi
hum to samjhe the nae Dhab se bahaar aai hai
is mein taskin ka pahlu na kahin maKHfi ho
ab tabiat nae andaz se ghabrai hai
kya sitam hai ki teri aish bhari duniya mein
tera diwana asir-e-gham-e-tanhai hai
ye bhi sach hai ki tamanna hi hai bais gham ka
ye bhi taslim ki har shaKHs tamannai hai
mast o diwana o majzub pe hansne walo
tum tamasha jise samjhe ho tamashai hai
ek duniya hai ki hangama hi hangama hai
aur ek main hun ki tanhai hi tanhai hai
ain mumkin hai ki mujh hi mein kami ho lekin
samne aae mohabbat jise ras aai hai
un se milte hi mere dil ne kiya ye mahsus
jaise sadiyon se meri un ki shanasai hai
(484) Peoples Rate This