Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b688864636467eca50ac63365bc6b7c2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
In ShoKH Hasinon Ki Nirali Hai Ada Bhi - Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar Poetry In English - Darsaal

In ShoKH Hasinon Ki Nirali Hai Ada Bhi

in shoKH hasinon ki nirali hai ada bhi

but ho ke samajhte hain ki jaise hain KHuda bhi

ghabra ke uThi hai meri baalin se qaza bhi

jaan-baKHsh hai kitni tere daman ki hawa bhi

yun dekh rahe hain meri jaanib wo sar-e-bazm

jaise ki kisi baat pe KHush bhi hain KHafa bhi

mayus-e-mohabbat hai to kar aur mohabbat

kahte hain jise ishq maraz bhi hai dawa bhi

tujh par hi 'sahar' hai ki tu kis haal mein kaTe

jina to haqiqat mein saza bhi hai jaza bhi

(464) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In ShoKH Hasinon Ki Nirali Hai Ada Bhi In English By Famous Poet Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. In ShoKH Hasinon Ki Nirali Hai Ada Bhi is written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Read famous Poem In ShoKH Hasinon Ki Nirali Hai Ada Bhi for youth and Student by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Free Download In ShoKH Hasinon Ki Nirali Hai Ada Bhi in PDF.