In Ashkon Ko Pani Kahna Bhul Nahin Nadani Hai
in ashkon ko pani kahna bhul nahin nadani hai
tan-man mein jo aag laga de ye to aisa pani hai
hijr ki ghaDiyan dekh chuke hain maut ka hum ko KHauf nahin
ye surat to dekhi-bhaali hai jaani-pahchani hai
kaise tum se ishq hua tha kya kya hum par bit rahi hai
sun lo to sachcha afsana warna ek kahani hai
muflis bandon par mat hansna dhan-daulat ke pahredaro
ye duniya hai is duniya ki har shai aani-jaani hai
shaiKH-o-barahman zahid-o-waiz buDhe-khusaT kya jaanen
bhul bhi ho jati hai is mein is ka nam jawani hai
(518) Peoples Rate This