Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1fc067d7d16bbdc26b3da86426d38976, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Un Ke Sitam Ko Bhi Karam Jaan Rahe Hain - Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar Poetry In English - Darsaal

Hum Un Ke Sitam Ko Bhi Karam Jaan Rahe Hain

hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain

aur wo hain ki is par bhi bura man rahe hain

ye lutf to dekho ki wo mahfil mein meri samt

nigran hain ki jaise mujhe pahchan rahe hain

hum ko bhi to waiz hai bad o nek mein tamiz

hum bhi to kabhi sahib-e-iman rahe hain

mumkin hai ki ek roz teri zulf bhi chhu len

wo hath jo masruf-e-gareban rahe hain

ye sach hai ki bande ko KHuda dahr mein yun to

mana nahin jata hai magar man rahe hain

wo aae hain is taur se KHalwat mein mere pas

jaise ki na aane pe pasheman rahe hain

(487) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Un Ke Sitam Ko Bhi Karam Jaan Rahe Hain In English By Famous Poet Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Hum Un Ke Sitam Ko Bhi Karam Jaan Rahe Hain is written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Read famous Poem Hum Un Ke Sitam Ko Bhi Karam Jaan Rahe Hain for youth and Student by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Free Download Hum Un Ke Sitam Ko Bhi Karam Jaan Rahe Hain in PDF.