GhaTa Hai Bagh Hai Mai Hai Subu Hai Jam Hai Saqi
ghaTa hai bagh hai mai hai subu hai jam hai saqi
ab is ke baad jo kuchh hai wo tera kaam hai saqi
umid-e-wasl rakhna ek KHayal-e-KHam hai saqi
bura to kuchh nahin lekin mazaq-e-am hai saqi
falak dushman muKHalif gardish-e-ayyam hai saqi
magar hum hain teri mahfil hai daur-e-jam hai saqi
jo apni har nazar se ek KHuda taKHliq karte hain
unhen dair o haram si chiz se kya kaam hai saqi
udasi sard aahen karb hasrat dard majburi
mohabbat talKHiyon ka ek shirin nam hai saqi
jinhen shauq-e-talab hai aur jinhen zauq-e-tajassus hai
unhen koh-o-bayaban manzil-e-yak-gam hai saqi
(549) Peoples Rate This