Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1c7daa229ec83f09ff17e02de063fe84, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aae Hain Samjhane Log - Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar Poetry In English - Darsaal

Aae Hain Samjhane Log

aae hain samjhane log

hain kitne diwane log

waqt pe kaam nahin aate hain

ye jaane-pahchane log

jaise hum in mein pite hain

lae hain paimane log

farzanon se kya ban aae

hum to hain diwane log

ab jab mujh ko hosh nahin hai

aae hain samjhane log

dair-o-haram mein chain jo milta

kyun jate maiKHane log

jaan ke sab kuchh kuchh bhi na jaanen

hain kitne anjaane log

jina pahle hi uljhan tha

aur lage uljhane log

(468) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aae Hain Samjhane Log In English By Famous Poet Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Aae Hain Samjhane Log is written by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Read famous Poem Aae Hain Samjhane Log for youth and Student by Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar. Free Download Aae Hain Samjhane Log in PDF.