Umr-bhar Kuchh Is Tarah Hum Jagte Sote Rahe
umr-bhar kuchh is tarah hum jagte sote rahe
bhiD mein hanste rahe tanhai mein rote rahe
raushni ki thi kahan fursat jo wo ye sochti
kaise kaise us ki KHatir hum hawan hote rahe
dhup ki faslen ugengi ye hamein malum tha
phir bhi hum sab ke dilon mein chandni bote rahe
sare bojhon ko baDa achraj hai kaise hum unhen
phul jaisi zindagi ki piTh par Dhote rahe
un hi zaKHmon ne hamein saunpi karahen ai 'kunwar'
jin ke munh hum aansuon ke nir se dhote rahe
(493) Peoples Rate This