Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7181fbae52427fa6ffe7a6811e9f1632, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sanche Mein Humne Aur Ke Dhalne Nahin Diya - Kunwar Bechain Poetry In English - Darsaal

Sanche Mein Humne Aur Ke Dhalne Nahin Diya

sanche mein hum ne aur ke Dhalne nahin diya

dil mom ka tha phir bhi pighalne nahin diya

hathon ki oT de ke jala lin hatheliyan

ai shama tujh ko hum ne machalne nahin diya

duniya ne bahut chaha ki dil jaanwar bane

main ne hi us ko jism badalne nahin diya

zid ye thi wo jalega tumhaare hi hath se

us zid ne ek charagh ko jalne nahin diya

chehre ko aaj tak bhi tera intizar hai

hum ne gulal aur ko malne nahin diya

bahar ki Thokaron se to bach kar nikal gae

panw ko apni moch ne chalne nahin diya

(557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sanche Mein Humne Aur Ke Dhalne Nahin Diya In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Sanche Mein Humne Aur Ke Dhalne Nahin Diya is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Sanche Mein Humne Aur Ke Dhalne Nahin Diya for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Sanche Mein Humne Aur Ke Dhalne Nahin Diya in PDF.