Pyase HonTon Se Jab Koi Jhil Na Boli Babu-ji
pyase honTon se jab koi jhil na boli babu-ji
hum ne apne hi aansu se aankh bhigo li babu-ji
phir koi kala sapna tha palkon ke darwazon par
hum ne yun hi Dar ke mare aankh na kholi babu-ji
bhule se jaane-anjaane war na karna tum un par
jin jin ke kandhon par hai ye prit ki Doli babu-ji
ye mat puchho is duniya ne kaun se ab tyauhaar diye
di hum ko andhi diwali KHun ki holi babu-ji
dil nikle hi mehnat ke ghar hath jo hum ne bheje the
wo hi KHali le kar lauTe sham ko jholi babu-ji
hum par kitne zulm hue hain kaun batae duniya ko
banduqon mein baqi hai kya ek bhi goli babu-ji
wo bhi apni aankhon mein naKHun hi le kar baiThe the
dikhne mein jin ki surat thi bahut hi bholi babu-ji
ye kah kah kar kal hum ko sari KHushiyan mil jaengi
karte rahte ho kyun hum se rose ThiTholi babu-ji
us mein kuchh TuTe sapne the kuchh aahen kuchh aansu the
jab jab bhi hum ne ye apni jeb TaToli babu-ji
ab ki bar to rakhi par bhi bhi de na saki kuchh bhayya ko
ab us ke sune mathe par sirf hai roli babu-ji
(689) Peoples Rate This