Aankhon Se Jab Ye KHwab Sunahre Utar Gae
aankhon se jab ye KHwab sunahre utar gae
hum dil mein apne aur bhi gahre utar gae
sanpon ne man ki bin ko kaTa hai is tarah
the us ke pas jitne bhi lahre utar gae
lae hain wo hi aag ke moti baTor kar
jo aansuon ki barf mein gahre utar gae
logon ke dard-o-gham bhi siyasat ke zehn mein
jhanDon se ek din ko hi phahre utar gae
pahre pe sab hi chor hain ye tab pata chala
aankhon se jab ye nind ke pahre utar gae
hum jab taTon ke pas rahe Dubte rahe
jab jab bhanwar ke beach mein Thahre utar gae
naron ki siDhiyon ko laga kar chaDhe jo log
ho kar unhin ki choT se bahre utar gae
jis din se mere dil mein 'kunwar' bas gae hain aap
duniya ke mujh pe jitne the pahre utar gae
(456) Peoples Rate This