Ye Girta Hua Shahr Mera Nahin
ye aag aur KHun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin
hawa se ulajhta hua main chala ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman
raat ke dasht mein tere mere makan
dur hote chale ja rahe hain
lahu ke ujale bhi madum hain
aur tarik gumbad mein masum ruhon ke kohram mein
be-sada aasman ki taraf
KHun mein luThDe hue hath uThte hain tahlil ho jate hain
aur kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui
na-muradon ki basti ke upar
hawa se ulajhta hua main uDa ja raha hun andhera hai gahra ghana be-aman
main bulata hun aawaz deta hun ab us hasin shahr ko
jo purani zaminon ke niche kahin dafn hai
koi aawaz kanon mein aati nahin hai
main shayad purani zaminon ke niche bahut dur niche kahin dafn hun
KHun mein luThDe hue hath
tarik gumbad
ye andhi hawa
phaDphaData hua ek zaKHmi parinda
kahin dur apni fasilon ke andar bikharti hui
na-muradon ki basti ke upar
main jalte paron se uDa ja raha hun
ye aag aur KHun ke samundar mein girta hua shahr mera nahin hai
(460) Peoples Rate This