Thahro! Main Aata Hun
agar mere fasane mein masarrat ka koi pahlu nazar aae
samajh lena
tumhaare waste mein raat ke gunjaan jangal se
chamakte jugnuon ki qimti saughat laya hun
mere andar andhere ka samundar hai
ubharta Dubta rahta hun main jis mein
tumhein malum hai mera amal ab KHatm hai, aur raat baqi hai
abhi ek ghat baqi hai
mere aakash ki had mein abhi suraj nahin pahuncha
ghani tarikiyon mein chhaTpaTata hun
main apne jism ke diwar-o-dar se sar ko Takraata hun
pal mein TuT jata hun
na ghabrao ki phir se KHud ko yakja kar raha hun main
nason mein apni phir taza lahu ko bhar raha hun main
tumhaare waste main raat ke gunjaan jangal se
chamakte jugnuon ki qimti saughat lata hun
zara Thahro! mein aata hun
(567) Peoples Rate This