Saugandhi
ek mausam mere dil ke andar
ek mausam mere bahar
ek rasta mere pichhe bhage
ek rasta mere aage
bich mein chup chup khaDi hun jaise
bujhi hui bujhaart
kis ko dosh dun, jaane mujh ko
kis ne kiya akarat
aaina dekhun, baal sanwarun
lab pe hansi sajaun
gala-saDa wahi gosht ki jis par
baiThi rang chaDhaun
jaane kitni barf pighal gai
bah gaya kitna pani
kis nadiya mein DhunDun bachpan
kis dariya mein jawani
raat aae meri haDDiyan jagen
din jage main soun
apne ujaD badan se lag kar
kabhi hansun, kabhi roun
ek bhayanak sapna: aag mein lipTi jalti jaun
choli mein aDse sikkon ke sang pighalti jaun
ek mausam mere dil ke andar
ek mausam mere bahar
ek rasta mere pichhe bhage
ek rasta mere aage
raste bich main khaDi akeli
piya na sang saheli
kya jaane mujh janm-jali ne
kya apradh kiya hai
aaKHir kyun duniya ka main ne sara zahr piya hai
sari umr na jaane apne badan mein kise jiya hai
mere sath zamane!
tu ne achchha nahin kiya hai
dur khaDe mere aangan dware
pal pal pas bulaen
kaho hawaon se ab, un ko
dur bahut hi dur kahin le jaen
jhuT ki ye kali diwaren
jhuT ka farsh aur chhat hai
jhuT ka bistar jhuT ke sathi
jhuT ki har sangat hai
jhuT bichhaun, jhuT lapeTun
jhuT utarun, pahnun
jhuT pahan kar jism ke virane mein dauDti jaun
sach ke jugnu bol kahan hai
kab se tujhe bulaun
is lambi tarik saDak par kab tak chalti jaun
kyun nahin zehn ki diwaron se
Takraun, mar jaun
shama sarekhi pighal rahi hun
ojhal kabhi ujagar
ek mausam mere dil ke andar
ek mausam mere bahar
mujh se milne kaun aae ab in tanha rahon par
boTi boTi baT gai meri raushan chaurahon par
is gahre sannaTe mein kis ko aawaz lagaun
kaun aaega madad ko meri
kya chiKHon chillaun
apne murda gosht ki chadar
oDh ke chup ho jaun
aur achanak nindon ki daldal mein gum ho jaun
kisi ke hath na aaun
KHud ko main KHud DhunDne niklun
lekin kahin na paun
(468) Peoples Rate This