Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c4bc49a6332cedc38263399509774ff4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sahilon Se Kaho, Main Nahin Aaunga - Kumar Pashi Poetry In English - Darsaal

Sahilon Se Kaho, Main Nahin Aaunga

sahilon se kaho, main nahin aaunga

ab kisi shahr ki raat mere liye jagmagae nahin

dhup buDhe makanon ki unchi chhaton par mera nam le kar bulae nahin

main nahin aaunga

yaad aata hai, ek din kisi se kaha tha

tujhe pahan kar dur ke shahr ki ajnabi dhartiyon mein utar jaunga

main aqida hun: mar jaunga

yaad aata hai, ek din kisi ne kaha tha

mein tere liye, tere ehsas ki wadiyon ki ghani chhanw mein pur-sukun

nind so jaungi

be-sada lafz hun, teri aankhon mein kho jaungi

yaad aata hai, ek din mere ru-ba-ru: ek pur-shor aur be-karan bahr tha

yaad aata hai, ek din mere ru-ba-ru: mein koi jagta jagmagata hua

Dubta shahr tha

ek aawaz thi: duriyon se bulati hui

ek aawaz thi, dur ke ek akele pahaDi nagar ke anokhe se manzar

dikhati hui

mujh se chhu kar kahin dur jati hui

waqt mujh se pare

waqt tujh se pare

main aqida hun

tu be-sada lafz hai

apne apne badan ke alao mein jal jaenge

dur ke

jagmagate hue

muntazir sahilon se kaho

hum nahin aaenge

hum nahin aaenge

(545) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahilon Se Kaho, Main Nahin Aaunga In English By Famous Poet Kumar Pashi. Sahilon Se Kaho, Main Nahin Aaunga is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Sahilon Se Kaho, Main Nahin Aaunga for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Sahilon Se Kaho, Main Nahin Aaunga in PDF.