Purane Shahron Ka Safar
jab mein apne bahut purane shahron mein jaunga
meri gaThri mein muTThi bhar miTTi
kuchh phal phul, sitare honge
kuchh galiyan, kuchh murtiyan
kuchh rang ba-rang aqide
kuchh nazzare honge
aur mere hamrah, mere ahbab
birha ke mare honge
hawa kahegi kyun aae ho
ye sab chizen kyun lae ho
aasman par uDte hue anjaan parinde
chhoTe chhoTe jhunDon mein dharti par utarte
sab ko dikhai denge
aur purane shahron wale
apne gharon ki chhaton par chaDh ke
barson talak duhai denge
aur hamari fath ke nare dur dur tak
chaaron taraf sunai denge
(459) Peoples Rate This