Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ebe5baeee6562ff13090df5d369915da, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lafz Nahin Bolte - Kumar Pashi Poetry In English - Darsaal

Lafz Nahin Bolte

suna yahi hai

ki lafz ab bolte nahin hain

jo mujh pe ab tak guzar chuka hai

guzar raha hai

wo lafz-dar-lafz mar raha hai

main har taraf se

mare huon mein ghira hua hun

kabhi kabhi mein

Dara Dara sa

sabhi ko chup-chap dekhta hun

kabhi kabhi sar uTha ke murde

udas aankhon se

dekhte hain

main maut ki wadiyon mein jaise utar gaya hun

ki jaise main aaj mar gaya hun

(467) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz Nahin Bolte In English By Famous Poet Kumar Pashi. Lafz Nahin Bolte is written by Kumar Pashi. Read famous Poem Lafz Nahin Bolte for youth and Student by Kumar Pashi. Free Download Lafz Nahin Bolte in PDF.