KHwab-tamasha(1)
ye tanbe ka aakash ujale se KHali
aur ye lohe ke shahr dhuen mein Dube hue
ye niwan sign ki raushniyon mein ghiri hui tarik safen
ye shor sharaba aane wali lambi raat ki haibat ka
sach puchho to ab mera dukh tanhai nahin
kuchh aur hi baat hai jis se dil ghabraya hai
main chahun to
mujh ko bhi koi be-kar bahana jine ka mil sakta hai
main chahun to
is shor sharabe mein KHud ko kho sakta hun
main chahun to
mera dukh tanhai nahin
kuchh aur hi baat hai jis se dil ghabraata hai
(421) Peoples Rate This