KHwab Tamasha(3)
sanjay bole
utar dakshin purab pashchim
ab koi bhi manzar saf nahin
naqshe hain kai pile nile
do sayyare upar niche
ek suraj se Takra hi gaya
har samt wahi pili aandhi
aur andhe jhakkaD shoalon ke
tum kis nuqte ki puchhte ho
ab koi bhi manzar saf nahin
ab koi nahin
han wo bhi nahin
ye kis ka KHwab tamasha hai
main jis mein akela ghumta hun
har samt wahi pili aandhi
aur andhe jhakkaD shoalon ke
pal pal mein ubharti auj chaTaKH kar TuTti girti chaTTanen hain
ab koi nahin
bas meri aankhen dekhti hain
bas meri aankhen dekhti hain
(461) Peoples Rate This