Janm-din
aasman ki wusaton mein
meri nazren
DhunDhti hain us hasin mazi ko, jis ki
yaad ke sae bhi ghulte ja rahe hain ab hawa mein
aur meri aankhon se ojhal ho rahe hain lamha lamha
main purana sa koi insan hun, mahsus ye hota hai mujh ko
main ne har sawan mein dhoya hai badan ko
aur ye dharti mujhe roz-e-azal se jaanti hai
yaad hai wo din mujhe achchhi tarah se
khaulte chinghaDte lawe ke be-payan samundar se uchhal kar
hum ikaTThe hi gire the
aur sadiyon baad hosh aaya, khuli jab aankh meri
main ne dekha
main to sadiyon pahle paida ho chuka tha
(408) Peoples Rate This