Main DhunDhta Hun Jise Aaj Bhi Hawa Ki Tarah
main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah
wo kho gaya hai KHala mein meri sada ki tarah
na puchh mujh se mera qissa-e-zawal-e-junun
main paniyon pe barasta raha ghaTa ki tarah
tamam umr raha hun main jism mein mahsur
tamam umr kaTi hai meri saza ki tarah
utar de koi mujh par se ye badan ki rida
ki mar Dale mujhe bhi mere KHuda ki tarah
nikharta jae yunhi rang-e-sham ai 'pashi'
bikharta jaun yun hi main gul-e-nawa ki tarah
(415) Peoples Rate This