Mahfil Mein Kisi Ki Humne Unhen Ek Bar Zara Dekha Hi To Hai
mahfil mein kisi ki hum ne unhen ek bar zara dekha hi to hai
yun nam pe un ke dhaDke hai dil goya un se rishta hi to hai
yaadon ke suhane mausam mein us garm-badan ki aanch liye
chal nikle hain hum yun KHush KHush hai jaise wo idhar rahta hi to hai
hum kuchh bhi kahen lekin un se jo ek talluq tha na raha
rishte ki haqiqat kya mani bas TuT gaya dhaga hi to hai
kya kya na ajab lamhe guzre tanhai-e-shab mein is dil par
KHush-fahmi ki sab kah Dalunga jaise wo meri sunta hi to hai
be-samt chale to hain lekin hum jaante hain anjam-e-safar
bekar hai ji ko kalpana do-chaar ghaDi chalna hi to hai
aap apne se bahar aa kar bhi sab dekh liya sab jaan liya
aalam hai ye sara bhed bhara parde se pare parda hi to hai
tanhai mein sham-e-furqat ki ye soch ke KHush hai ji apna
aaega mana lenge us ko jaise wo idhar aata hi to hai
har sinf-e-suKHan ko 'pashi'-ji ek tarz nai di hai hum ne
har ek se alag har ek se juda har sher mein aks apna hi to hai
(394) Peoples Rate This